Sab kuch khona hai agar to kuch paa to lene do,
Ek din rukna hai agar to aaj zara chalne do,
Honi hi hai raat agar to shama to jaalane do,
Hona hi hai andhera agar to thoda to use pighalne do,
Agar kal uthna hi hai mujhko to thoda aur sone do.
Subah uthna hi hai agar to zara khwabon ko to sajaane do,
Ki jab main kal sone jaaun to mujhe phir wo khwab mile,
Meri yaadon se bhari hui wahi sunahri kitaab mile,
Jis kitaab ke kuch panne maine bade pyaar sajaye hain,
Jin zindagi ki kore panno pe kuch nishaan banaaye hain,
Kal agar jaana hi hai agar to aaj kuch panne to kholne do,
Samay ka paimana agar bhar hi chuka to zara use tatolne do,
Agar maut khoj hi legi mujhe to aaj zindagi mein khone do,
Agar kal uthna hi hai mujhko to thoda aur sone do.
No comments:
Post a Comment