Wednesday, November 21, 2012

Zakhm


Main to boond tha sajoya,
main to sari raat soya,
sooraj ki halki roshani ne,
kuch waqt pehle jagaya,
phir jaane kha se kaise,
ek jhoka zor se jo meri daal ko yun cheda,
na jaane kab aur kaise main zameen pe aaya

abhi to main hara hun, abhi to main bhara hun,
bas thodi hi dur bikhra hua,
abhi uss ped se jhada hun.
har toote patte ki tarah meri bas ek hi aas hai,
aasman nahi to kewal ek daal ki pyaas hai,
pankh nahi to kewal ek sahare ki talash hai,
warna meri ye zindagi, bas ek sukhi laash hai.