Saturday, January 7, 2012

Vedna

Ashant, wyakul, pathik ye mann,
uspar chanchal yah chali dhan,
maansal ango se wanchit tan,
kare sheet mein pallav sa kampan.

lekar agni ki madhur taap,
karta mann mein yah vilaap,
kab karenge panchio madhur gaan,
na le jaye yah chann har kar yeh pran.

hota nai waqt ka bodh,
aur wyarth kisipar karna krodh,
lekar agni se jeevan jwala,
peena ha ab veeshbhar pyala.

hogi subah, samay hoga mera,
aur dekhega kal ka savera,
niklunga jeevan path par akela,
aur khulega kismat ka mela.

Hua hai mujhko aatmagyan abhi,
kar karen na prakat vedna kabhi,
le seekh yah seekh jeevan mein sabhi,
daya ki bheek se shrama aaghat sahi

No comments:

Post a Comment