Monday, August 8, 2011

Baarish


Baarish ke mausam mein jo khush hote hain patte,
Har vriksha par hariyaali ka nazara hota hain,
Halki si thandi lehar jo chukar nikal jaati hai,
Har patta jo yun machal uthta hai.

Par ek baat hai jo patton ki wo samajh nahi aati,
Jo  aasman mein baadal niharte hain,
Baarsih ki thandi un madmast boondon ke liye,
Apni makhmali chadar bichaye rakhte hain.

Chahe kitna sambhale patte par bundon ko rok nahi pate,
Par har nayi boond par aas lagaye rehte hain,
Yaadon ki tarah chhu kar nikal jaati hain boonden,
Aur woh apna daaman phailaye baithe rehte hain.

Kaun samjhaye unhe ki har boond bewafa hai tere liye,
Wo chanchal hai, matwali hai,
Chahe jis patte ya daal ko chhuti ho,
Anth mein mitti mein mil jaani hai.

Par shayad yahi zindagi hai,
Jo har waqt zindadili sikhlati hai,
Har chalakte boond ki tarah,
Dheere se hamein yeh samjhati hai,
Ki yeh na thamti hai baarish ki tarah ,
Na ye patton si murjhati hai,
Yeh behti hai, badhti hai,
Aur saagar mein mil jaati hai.

Jiyo to zinda ho kar jiyo,
Har boond ke sang masti se jhoomkar jiyo,
Socho nahi, ek gayi to dusri aati rahengi,
Tum nav pallav ho iss vriksha ke, har mausam jhoolkar jiyo.

No comments:

Post a Comment