Friday, September 12, 2014

Aandhi


Aaj bhi phulon ko kya tum mehkate ho,
Titliyon ko badmashi yun sikhlate ho.
Jo yeh mujh se kehti hai pagal hawa,
Mujhko chune se pehle tum inhe chu jaate ho.

Aisa koi waqt nahi tha jo tumhare hone se khushi na mili ho mujhe,
Aisa koi waqt nahi tha ki tumse kuch kahne pe mann sakuchaya tha,
Haan ye waqt kuch aur hai ye tum jaante ho hum bhi,
Jisme shabdon ki jagah nahi bas saans ka shor hai,
Thoda to rok liya tha tumne bundon ko kuch pal ke liye hi sahi,
Aage raasta lamba aur baarish bahut zor hai.

Kabhi kabhi ye sochta hun, jo aaj wo sapne hakikat se ladne lage hain,
Jo dur itne nikal aaye ho ki raaste alag se lagne lage hain,
Kuch tumne na suna hota,  Kuch maine na kaha hota,
Kuch maine samajh liya hota,  Kuch tumne samajh liya hota
Thoda aur chalna tha tumhare saath,
Kuch dur aur chal leta to kya ho jaata,
Thoda aur guzarna tha tumhare saath.
Agar saath hi guzar jaata to kya ho jata.